About Me

My photo
The woods are lovely, dark and deep, But I have promises to keep, And miles to go before I sleep, And miles to go before I sleep.

Monday 12 December 2011

<a href="http://www.cursormania.com/dl/index.jhtml?partner=ZCzeb008_ZSYYYYYYYYPK&spu=1&feat=prof&utm_id=9993" style="position:absolute;top:50px;left:0px;"><img src="http://plugin.smileycentral.com/http%253A%252F%252Fplugin%252Esmileycentral%252Ecom%252Fassetserver%252Fcursor%252Ejhtml%253Ft%253D3/image.gif" border="0"/></a><style type="text/css">body{cursor:url("http://plugin.smileycentral.com/http%253A%252F%252Fplugin%252Esmileycentral%252Ecom%252Fassetserver%252Fcursor%252Ejhtml%253Fcur%253D1%2526i%253D8504a/image.gif") !important;}</style>

Tuesday 6 December 2011

"Last Call"


Kal hamesha ki tarha uss ne kaha ye fone par
mein buhut masroof hoon mujh ko buhut se kaam hain

iss liye tum aao milney mein tou aa sakti nahi
har riwayat toRh kar iss baar mein ney keh diya

tum jo ho masroof mein bhi buhut masroof hoon
tum jo ho mash'hoor tou mein bhi buhut maroof hoo

tum agar ghamgeen hoo mein bhi buhut ranjoor hoo
tum thakan sey choor tou mein bhi thakan sey choor hoon

jan-e-man hai waqt mera bhi buhut hi qeemti
kuch puraney dostoon ney milney ana hai abhi

mein bhi ab farigh nahi mujh ko bhi lakhon kaam hain
warna kehney ko tou sab lamhey tumharey naam hain

meri aankhein bhi buhut bojhal hain sona hai mujhey
rat'jagoN key baad ab neendoN mein khona hai mujhey

mein lahoo apni anaoo ka baha sakta nahi
tum nahi aati tou milney mein bhi aa sakta nahi

uss ko ye keh kar wasi mein ney reciever rakh diya
aur phir apni ana key paaon pey sar rakh diya.

tum merii aa.Nkh ke tevar na bhulaa paaoge

tum merii aa.Nkh ke tevar na bhulaa paaoge
ankahii baat ko samajhoge to yaad aa_uu.Ngaa

ham ne Khushiyo.n kii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe
safaah-e-ziist ko palaToge to yaad aa_uu.Ngaa

isii andaaz me.n hote the muKhaatib mujh se
Khat kisii aur ko likhoge to yaad aa_uu.Ngaa

sard raato.n ke mahakate hue sannaaTo.n me.n
jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aa_uu.Ngaa

ab tere ashk mai.n ho.nTho.n se churaa letaa huu.N
haath se Khud inhe.n po.nchhoge to yaad aa_uu.Ngaa

shaal pahanaayegaa ab kaun disambar me.n tumhe.n
baarisho.n me.n kabhii bhiigoge to yaad aa_uu.Ngaa

aaj tum mahafil-e-yaaraa.N pe ho maGaruur bahut
jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aa_uu.Ngaa

haadase aaye.nge jiivan me.n to tum hoke niDhaal
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aa_uu.Ngaa

is me.n shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aa_uu.Ngaa

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

tuu ba.De pyaar se ba.De chaao se ba.De aramaan ke saath
apanii naazuk sii kalaa_ii me.n cha.Dhaatii mujh ko
aur betaabii se furqat ke Khizaa.N lamho.n me.n
tuu kisii soch me.n Duubii jo ghumaatii mujh ko
mai.n tere haath kii Khushbuu se mahak saa jaataa
jab kabhii muuD me.n aa kar mujhe chuumaa karatii
tere ho.nTho.n kii shiddat se mai.n dahak saa jaataa

raat ko jab bhii tuu niindo.n ke safar par jaatii
marmarii haath kaa ik takiyaa banaayaa karatii
mai.n tere kaan se lag kar ka_ii baate.n karataa
terii zulfo.n ko tere gaal ko chuumaa karataa
jab bhii tuu band qabaa kholane lagatii jaanaa.N
apanii aa.Nkho.n ko tere husn se kheraa karataa
mujh ko betaab saa rakhataa terii chaahat kaa nashaa
mai.n terii ruuh ke gulashan me.n mahakataa rahataa
mai.n tere jism ke aa.Ngan me.n khanakataa rahataa
kuchh nahii.n to yahii benaam saa bandhan hotaa

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

Maa

Maa! Mujhe Neend Nahi ate hai
Aik Mudat se Mujhe Neend nahi ate hai
Maa! Mujhe LoorY SuNaoOo nA
SuLa DoNa Mujhe

Maa! Mujhe Neend Nahi ate hai

Rat jagey ab tu Muqadar hain Meri pulkon ka
Neend aye tu liye ate hai bagdad ki Yaad
Ankh lagte he koi bewa utha dete hai
Pait kitna he bharon bhook nahi Mitti hai

jalte Basra ki Mujhe Piyass jaga dete hai
koi qandhar ki waddi se bulta hai Mujhe
zikar qandoz ka aye tu mujhe lagta hai
kat ker sar koi hansta hia,jalata hia mujhe
bomb ki awazain mujhe kuch nahi kehti hain maagar
zakham in bacho ke sone nahi dete hian mujhe
Maa Meri ankhian tu pather ki hue jate hian
nojawaan lashey yeh rone nahi dete hian mujhe
Mere seene per rakho hath

RuLa DoNa Mujhe....!
Maa!Mujhe LorrY SuNaoOo Na
SuLa DoNa Mujhe....!
Maa! Mujhe Neend Nahi ate hai
Aik Mudat se Mujhe Neend nahi ate hai....!



welcome


TUM


pyar

Wasi hum ne pyar kia tha
Ulfat ka iqrar kia tha

Amjad rung ik geet likha tha
usko apna meet likha tha

Neher kinarey, peepal chao'n
Un sey yeh izhar kia tha

Jana bosa lene do
dast-e-hina chu lene do

Talab na paiee, mausam badla
nadi kinara, gum sum pani
hum se aaj yeh kehta hai

Wasi kuoon-kar pyar kia tha
kyoun is ka iqrar kia tha

"TAIRAY FIRAK K LAMHAY SHUMAR KRTAY HUAY

"TAIRAY FIRAK K LAMHAY SHUMAR KRTAY HUAY
BIKHER CHALAY HAIN TAIRA INTEZAAR KRTAY HUAY

TO MAIN BHI KHUSH HUN KOI US SE JA K KH DAINA
AGAR WO KHUSH HAI MUJHE BEQARAR KRTAY HUAY

TUMHAIN KHABAR HI NAHIN HAI K KOI TOOT GAYA
MAHABATON KO BOHAT PAIDAR KRTAY HUAY

MAIN MUSKURATA HUA AAINAY MAIN UBHROON GA
WO RO PRAY GI ACHANAK SINGHAAR KRTAY HUAY

MUJHAY KHABAR THI K AB LAUT KR NA AAONGA
SO TUJHKO YAD KIYA DIL PE WAR KRTAY HUAY

WO KH RAHI THI K SAMANDAR NAHIN HAIN ANKHAIN HAIN
MAIN UN MAIN DOOB GAYA AITBAAR KRTAY HUAY

BHANWAR JO MUJH MAIN PRAY HAIN WO MAIN HI JANTA HUN
TUMHARAY HIJR K DARYA KO PAAR KRTAY HUAY"

Khwahish-e-deed

Khwahish-e-deed hai ya kisi bosey ki talab
Aaj kis jazba-e-wehshi ke tehet mein jaga

Saya jalad ka dekha to Wasi kanmp utha
Aur ik dhaj se maqtal main qaza se bhaga

Uynke kooche

Uynke kooche main jo tasleem-e-wafa karte hain
Dil-e-nadan sey har ik roz jafa karte hain

Daar per chardhney se pehley hi sanam rooth gaya
Kitney nada`n hain unhey khud se khafa kerte hain

Khoon behta hua jaey bhi to woh na manien
woh to bus yun hi humein khud se dafa kerte hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko

Koi lamha ho tere yaad mai kho jatay hain
Ab toh khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay
aik saith hum mil ker raha kertey thay
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray toh ehsaas hua hai hum ko

Hum Nay khud apni rahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay
Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain

Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko

zard beej


Main zard beej ho0n aor sabz hona chahta hoon
Mairi zameen,tairi mitti ka mashwara kiya hy??

Bikhr raha hoon teri tarah mein b aey rad e gul
So tujh sy poochta ho0n,taira tajarba kiya hy ??

dehlees ke paar

chandani raat k hatoon pe swar utari hai
koi khooshbo meri dehlees ke paar utri hai

is mai kuch rang bi hain khawab bi mehkar bi hai
jhilmilaati hovi khawish bi hai inkar bi hai
isi khushboo mai kai dard bi afsaanay bi
isi khushbo ne banay kai dewane bi
maire anchal pe ye umidoon ki kitaar utri hai
koi khushbo meri dehlees ke paar utri hai

isi khushbo se kisi yaad ke dar khulte hain
maire pairoon se jo lipte to safar kilte hain
yehi khushboo jo mujhe ghar se utha laai thi
ub kisi toor palat kar nahi jane daiti
meri dehlees bulaati hai mujhe loot aao
ye hi khushbo mujhe wapis nahi aanai daiti

runj or dard mai doobi ye bhaar utri hai
koi khushboo meri dehlees ke paar utri hai

chandani raat ke haathoon pe sawaar utri hai
koi khushboo meri dehlees kay paar utri hai

Hum ney khushiyon ki gham bhi ikatthey dekhey

Hum ney khushiyon ki gham bhi ikatthey dekhey
Safha-e-zeest ko paltoge to yaad aanoongaa

Isi andaz mai hote thay mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likhoge to yaad aaoongaa

Sard raton ke mehekte huye sannaton mai
Jab kisi ko bhi na paaoge to yaad aaoonga

Mai ke jo ashk wo hoton se chura leta tha
Haath se khud unhen paunchhoge to yaad aaoonga

Shaal pehnaayega ab kon december mai tumhey
Barishon mai kabhi bheegoge to yaad aaoonga

Is mai shamil hai mere bakht ki tareeki bhi
Tum siah rang jo pehnoge to yaad aaoonga

Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai

Yeh kaamyabiyan izzat yeh naam tum se hai
Khuda ne jo bhi diya hai maqam tum se hai

Tumhare dam se hain mere lahoo mai khilte gulaab
Mere wujood ka saara nizam tum se hai

Kahan bisaat-e-jahan aur mai kamsin aur nadaan
Yeh meri jeet ka sab ahtemam tum se hai

Jahan jahan hai meri dushmani sabab mai hoon
Jahan jahan hai mera ahteraam tum se hai

Kis qadar zulm dhaya kertey ho

Kis qadar zulm dhaya kertey ho
Yeh jo tum bhool jaya kerte ho

Kis ka ab haath rakh ke seene per
Dil ki dhadhkan sunaya kerte ho

Hum jahan chaye peene jate thay
Kia wahan ab bhi aaya kerte ho

Kon hai ab ke jis ke chehre per
Apni palkon ka saaya kerte ho

Kiun mere dil mai rakh nahee dete
Kis liye gham uthaya kerte ho

Phone per geet jo sunate thay
Ab wo kis ko sunaya kerte ho

Akhiri khat mai usney likha tha
Tum mujhe yaad aaya kerte ho

Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar


Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar
Phoot ker rone lage hain mai muhabbat aur tum

Hum ney joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
Raastey khone lage hain mai muhabbat aur tum

Chaand ki kirno ne humko is tarah bosa diya
Devta hone lage hain mai muhabbat aur tum

Aaj phir mehroomiyon ki daastane orh ker
Khak mai sone lage hain mai muhabbat aur tum

Kho gaye andaaz bhi awaz bhi alfaz bhi
Khamshi dhone lage hain mai muhabbat aur tum

Tumhara Nam

Tumhara Nam Lakhna Ke ijazat chin gayi jab sa

Jab koai lafz liktha houne ankhne bigee ja te hane.

Gurbat me

Gurbat me.n ho.n agar ham rahataa hai dil vatan me.n
samajho vahii.n hame.n bhii dil ho jahaa.N hamaaraa.....

SHARBATI KAANCH KI TOOTI HU NAAZUK CHOORI......

aik aanchal say bandha hai sab kuch

aik tasweer aur tasweer peh bheegay huye hont

aik sandal ki unaabi pencil

aik beyrabt ka ukhra hua khat

aik adad card

jis ko chooney say teri yaad chali aati hai

aur is card main rakhi hui akloti palak

jis say maanoos duaaon ki mahak aati hai

kisi gumnaam say shaair ka adhura misra

aik paazaib say bichra hua ujla mauti

aik murjhai hui zard chanbali ki kali

jis main ab bhi teri zulfon kay bhanwar liptay hain

aik boseeda sa question paper

jis kay konay peh likha naam abhi taaza hai

sharbati kaanch ki tooti hui naazuk choori

aik toota hua halka sa gulabi naakhun

aik gadla sa tissue paper bhi

jis peh mehkay huye ashkon kay nishaan zinda hain

yahi daulat hai yahi kuch hai asaasa mera

yahi daulat hai yahi kuch hai asaasa mera

aik aanchal say bundha hai sab kuch!

aik bheegay huye aanchal say bundha hai sab kuch!!!

Friday 2 December 2011

Mohabbat Jeet Hoti Hai, magar Yeh Haar Jaati Hai.....!

Mohabbat jeet hoti hai,

Magr ye haar jati hai,
Kabhi dilsoz lamhon se,
Kabhi bekar rasmon se,
Kabhi taqdeer walon se,
Kabhi majbur qasmon se,


Mager ye haar jati hai,
Kabhi ye phool jaisi hai,
Kabhi ye chand jaisi hai,
Kabhi ye dhoop jaisi hai,

Kabhi khush karti hai,
Kabhi ye rog daiti hai,
Kisi ka chain laiti hai,
Kisi ko rula daiti hai,

Kabhi ye paar le jati hai,
Kabhi ye maar jati hai,
"Mohabbat" jeet hoti hai,
Mager ye haar jati hai...