KunwaN chal raha hai! magar khet sookhe pare haiN, na fasleiN, na khirman, na dana
Na shakhon ki bahein, na phooloN ke mukhre, na kalioN ke mathe, na rut ki jawani …KunwaiN wala, gaadi pe leta hai, mast apni bansi ki meethi sureeli sada meiN
KahiN khet sookha para reh gaya aur na us tak kabhi aai pani ki bari
KahiN beh gayi aik hi tund rele ki fayyaz lehroN meiN kayari ki kayari …

No comments:
Post a Comment