About Me

My photo
The woods are lovely, dark and deep, But I have promises to keep, And miles to go before I sleep, And miles to go before I sleep.

Tuesday 3 April 2012

chalo hum farz kartay hain


chalo hum farz kartay hain
wohi batain jo duniya main nahi hoti
chalo hum farz kartay hain
kay har suu noor phaila hai
na din main chaya sunnata
na raaton main andhera hai
na suraj shab main sota hain
na din main chand khota hai
hai har dil roshni say pur
aur aankhon main ujalay hain

chalo hum farz kartay hain
kay har mosam baharan hai
khizaab main phool khiltay hain
nigahain rag say mahati hain
guloon ki khushbuoon say
sab nizaray muattar hain
parinday chahchatay hain
khushi kay geet gatay hain

chalo hum farz kartay hain
kay har dil main muhabbat hai
kaheen jaghray nahi hotay
na barish dukh ki hoti hai
na aandhi gham ki chalti hai
na nafrat phaans banti hai
hain sabhi chehron pe muskanain
kaheen jaghray nahi hotay

chalo hum farz kartay hain
kay gham khushion say bahtar hain

chalo hum farz kartay hain
ye duniya tum say bahtar hai

zara tahro.....!!!!!!!!

magar hum farz kiyun kar lain
yakeen mujh ko batata hai
hakeekat to hakeekat hai
main sab kuch jaan sakta hoon
na suraj shab main chamkay ga
na din main chand niklay ga
khizan main gul nahi khiltay
ye nafrat mar nahi sakti
na gham khushiyon say bahtar hain
na duniya tum say bahtar hai
hai duniya ki hakeekat kia
fakat aik tum hi achay ho
jahano say zamano say
maknoon la maknoon say
ye sab kuch hai wohi jo
isi duniya main hota hai
to phir hum farz kiyun kar lain
fakat ik tum hi achay ho-

Thursday 29 March 2012

kasa lagta ha


kasa lagta ha
khirkhi se barish ki bonde takna
apne ap ko in bondoon ki nazar kerna
kasa lagta ha
jb bijli zor se karak ker apne guse ka izhar kerte ha
or jwab main badal hans ker use manata ha
in ahsasat main jeena
kasa lagta ha
bolo kasa lagta ha
barish ka sang ankh macholi khalna

AIK NAZAM


kis kadar dushwar hai
apne aap se jhoot bolna
or ya manvana ke
yeh jhoot he sach hai
jab main is main kamyaab hoti
tou pata chala is waqt tak
main andar se toot kar
bikhar chuki thi...

AJEEB LARKI HOON



Ajeeb larki hoon khud ko jalana chahtee hoon


Mai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahtee hoon

Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh ko
Bas ab to umer bher aansoo bhana chahtee hoon

Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe
Koi bhee dard ho dil mai chupana chahtee hoon

Baha baha k ye aasnoo bikhar chuki hoon bahut
Simat k zaat mai ab muskurana chahtee hoon

Jisay eik umer dil mai chupa k rakha hai
Wo raaz aaj mai sab ko batana chahtee hoon

Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne
Baqi saaray sitam bhool jana chahtee hoon

Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager
Mai eik larki hoon sab ko batana chahtee hoon

Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan
To mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahteehoon

Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se
Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahtee hoon

Tu apnay dil k her eik dar ko khool day
Mai dard ban ker teray dil mai aana chahtee hoon