About Me

My photo
The woods are lovely, dark and deep, But I have promises to keep, And miles to go before I sleep, And miles to go before I sleep.

Thursday 1 December 2011

Dayar-e-gair Mein Kaise Tujhe Sada Dete


dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete
samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete

Kash Main Tere Hasin Hath Ka Kangan Hota


buzz_button
kash main tere hasin hath ka kangan hota
tu bare pyar se bare chao se bare arman k sath
apni nazuk si kalai mein charhati mujh ko
aur betabi se furqat k khizan lamhon mein
tu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko
main tere hath ki khushbu se mahak sa jata
jab kabhi mud mein a kar mujhe chuma karti
tere honthon ki shiddat se main dahak sa jata
rat ko jab bhi tu nindon k safar par jati
marmari hath ka ik takya banaya karti
main tere kan se lag kar kai baten karta
teri zulfon ko tere gal ko chuma karta
jab bhi tu band qaba kholne lagti janan
apni ankhon ko tere husn se khera karta
mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri ruh k gulshan mein mahakta rahta
main tere jism k angan mein khanakta rahta
kuch nahin to yahi benam sa bandhan hota
kash main tere hasin hath ka kangan hota

No comments:

Post a Comment