About Me

My photo
The woods are lovely, dark and deep, But I have promises to keep, And miles to go before I sleep, And miles to go before I sleep.

Friday 3 June 2011

MOHABBAT KE TASAWUR KO AGAR TASWEER KARNA HAI


mohabbat ke tasawur ko ager tasveer karna hai

danak say rang le lena

sitaroon say damak lena

sehar say roshni lena

guloon say dilkashi lena

magini bulbuloon say nagmigi lena

ali al-shub jag jana

ous ke qatroon say tum

paqizgi aur tazgi lena

saba hat hur say lena

mala hat tum mere mehbob say lena

mohabbat ke tasawur ko ager tasveer karna hai

hazaroon bhad walay

bher-e-azam ke tahheer khiz khitay main chal jana

buhat maqsoos jangal may

kala nichain martay ahoo ka ram taskhir kar lena

aur us ke nafa-e-magzan saft say

khushbu-e-jadu asar lena

mohabbat ke tasawur ko ager tasveer karna hai

lage jab jangaloon may aag

is atish ke sholoon say

ghazab ki tum lapak lena

samandar say tahamul ,zabt aur gharai le lena

baharoon say yeh kehna

apni shadabi tumhain dey dain

mohabbat ke tasawur ko ager tasveer karna hai

kisi sirsabz waadi may

chamkty jheel per jab kalay badal jhoom kar chaein

hawa ruk jaye

barish ki buhat nanhi si be-had dilnishain shezadiyan

bundoon ki nazuk palki main jab utar ayiin

tu yeh manzar chura lena

yeh saray rang aur manzar tumharay haath ajayein

magar phir bhi adhuri tumhain tasveer lagti ho

tarb zaray-e-tamana may al-mana ki zaroori ho

mohabbat ki agar mona laiza ban nahi paye

tu phir ek kaam karna

mere tootay huwe dil ki

her ek khirchi utha lena

yehi johar tu is tasveer may

ek rooh pookn ke ga

mohabbat ke tasawur ko ager tasveer karna hai

No comments:

Post a Comment